Wednesday, May 22, 2013

Mere Baad

mitti ka main, mitti me mil jaunga ek din
lekin usse pehle bahut kuch hai karna mujhe
kitne raaste adhure hai, kitni manzilein abhi door hai
kitno ko rasta dikhana hai
kitno ko manzil tak pahuchana hai
kitne raston ka karna hai abhi nirman 
aur kitni manzilon ko bhi lana hai pass
kaun karega ye sab mere baad?

meri priyatama tum khus rehna
mere sath ya fir mere baad
na karna koi fikar kyunki
tumhari khusi ka rakhta hoon main hamesha dhyan
jane se pehle kar dunga main sara intezam
adhure raste me nahin chodunga tumhe
jab jaunga chodker ye sarir
tumhe haath pakadkar chalne wala bhi hoga
manzil tak pahuchne ka sahara bhi hoga
jis din tum khus rahogi mere baad
itni khus ki na aaye meri yaad
us din mujhe mukti bhi mil jayegi
mitti ka main, mitti me mil jaunga
aur us din main amar bhi ban jaunga